Read it in his style

EHSAAN QURAISI
Ek din, main Delhi pahuncha,
Station pe ek coolie se bahar jane ka rasta pooncha.
Coolie ne kaha: "Bahar jaake poocho."
> Maine khud hi rasta dhundh liya,
> Bahar jaake taxiwale se pooncha:
> "Bhai saab Lal Kile ka kitna loge?"
> Jawab mila: "Bechna nahi hai."
>
> Taxi chod, maine bus pakad li,
> Conductor se pooncha: "Ji, kya mein cigarette pi sakta hoon?"
> Wo gurrra kar bola: "Hargiz nahi, yaha cigarette pina mana hai."
> Maine kaha: "Par wo janab to pi rahe hai!"
> Phir se gurrrraya: "Usne mujhse pooncha nahi hai."
>
> Lal Kile pahucha, hotel gaya.
> Manager se kaha: "Mujhe room chahiye, satvi manzil pe."
> Manager ne kaha: "Rahane ke liye ya koodne ke liye?"
> Room pahucha, waiter se kaha : "Ek paani ka gilas milega?"
> Usne jawab diya: "Nahi sahab, yahan to saare kanch ke milte hain."
>
> Hotel se nikla, dost ke ghar jaane ke liye,
> Raste me ek sahab se pooncha:
> "Janab, ye sadak kaha ko jaati hai?"
> Janab hans kar bole: "Peechle bees saal se dekh rahan hoon,
> Yahi padi hai... kahin nahin jaati."
>
> Dost ke ghar pahucha, to mujhe dekhte hi chownk pada,
> Usne poocha: "Kaise aana hua?"
> Ab tak to mujhe bhi aadat pad gayi thi, Maine bhi jawab diya: "Train se."
>
> Meri aaobhagat karne ke liye dost ne apni biwi se kaha:
> "Areeee sunti ho... mera dost pehli baar ghar aaya hai, Uuse kuch taja taja khilao."
> Sunte hi bhabhiji ne ghar ki sari khidkiya aur darwaje khol diye.
> Kaha: "Taji hawa kha lijiye."
>
> Dost ne phir se baday pyar se biwi se kaha:
> "Areeee sunti ho, inhe jara apna chalis saal purana aachar to dikhana."
> Bhabiji ek baatli me rakha aachar le aayi.
> Maine bhi apnapan dikhate hue bhabiji se kaha:
> "Bhabhiji, aachar sirf dikhayengi, chakhayengi nahi?"
> Bhabiji ne taak jawab diya: "Yuhi agar sab ko chakhati
> To aachar chalis saal purana kaise hota?"
>
> Thodi der baad dekha, bhabiji apne potey ko sula rah thi,
> Saath me lori bhi ga rahi thi:
> "Diploma so ja, diploma so ja."
> Lori soon mein hairan hua aur dost se poocha:
> "Yaar, ye diploma kya hai?"
> Dost ne jawab diya: "Mere grandson ka naam,
> Beti bambai gayi thi, diploma lene ke liye
> Aur saath mein ise le aayi,
> Isiliye hamne iska naam Diploma rakh diya."
> Phir maine pooncha: "Aajkal tumhari beti kya kar rahi hai?"
> Dost ne jawab diya: "Bambai gayi hai, degree lene ke liye."