Welcome, Guest. Please login or register.

Login with username, password and session length




November 11, 2024, 07:42:25 AM
Funfani.com - Spreading Fun All Over!COOL STOPSMSssssssShayari SMS
Pages: [1]   Go Down
Print
Author Topic: Shayari SMS  (Read 9180 times)
0 Members and 1 Guest are viewing this topic.
Vatsal
Administrator
FF Trailblazer
*****

Karma: 109
Offline Offline

Gender: Male
Posts: 2218



WWW
« on: July 30, 2006, 08:27:11 AM »

apni yadoon ki sadaown say bula kar dekhoo
main gea waqt nahi hoon kay phir aa bhi na sakoon
mjh say koi rothy to ho jayee gi bohat mushkil
main wo khod sar hoon kisi ko mana bhi na sakoon

Is mukaam pe aa k tujhay bicharnay ki soogi
Aab kahin aa k sanwray thay hamaray din

nikalta hua suraj roshni de aap ko
khiltay huey phool khushbu dain aap ko
hum to kutch dainay k kabil hi nahin
dainay wala zindagi de aap ko

kahan ansoon ki yeh sohat ho gi
naye loog hoon gay nayi baat ho gi

main har haal mian muskurata rahoon ga
tumhari muhabat agar sath ho gi

chargoon ko ankhoon main mehfooz rakhna
bari door tak raat hi raat ho gi

parishan hain hum bhi parishan ho tum bhi
chaloo mehkaday main wahein baat ho gi

chargoon ki lo say sitaroon ki zo tak
tumhain main miloon ga jahaan raat ho gi

jahan wadiyoon main naye phool aye
humri tumhari mulqat ho gi

sadaoon ko alfaaz milnay na payein na badal
ghirein gay na barsat ho gi

musafir hain hum bhi muafir ho tum bhi
kisi more per phir mulaqat ho gi

JIN KO AZIZ THEY HUM ZINDAGI KI TARAH ! !
AAJ PASS SAY GUZAR GEY AJNABI KI TARAH

Bhooloon ga agar tujay tou ji na paoon ga
yaad bhi rakhaa agar tou mar jaoon ga

Ghum hi kuch aisa tha keh roya tera mohsin warna
Ghum chupa kar ussay hanstay howay aksar daikha

Kub tuk kisi kay soog mein roein gay baith kar
Hum khud ko kitni baar yeh samjha kar ro parey

Uttha kar choom li hein chand murjhaye howi kaliyan
Tum na aye tou yun jishan-e-baharan kar liye mein nay

Aab tou is rah sai wo shaksh guzarta bhi nahin
Kis ummed pai darwazay sai jhankey koi

Aa gayi thi ik din tanhaye bhi jazbaat mein
aank sai bhi chand boondein gir pari barsaat mein

Laakh chaha tha keh ussay bhool jaoon Qateel
Hoslay apni jaga hein, baibasi apni jaga

Zehr daitai hein tou kehtey hein peena ho ga
jub pi laitay hein tou kehtey hein jeena ho ga

Jinhein bhulaney mein yaro, barey zamaney lagay
Jub dil dukha tou wohi loog yaad aney lagey

Mujay tumhari judai ka koi ranj nahin
Mere khayal ki duniya mein mere paas ho tum

Khabhi arsh per khabhi farash per, khabhi un kay dar khabhi dur badar
ghum-e-Aashique tera shukria, mein kahan kahan sai guzar gaya

Tuj sai bichar kar na daikha gaya kisi ka milap
Urra diye sub parinday shajar per baithey howey

Khusboo na gaye ghar sai na yadoon ki bai rukhi
Zalim kay saray naqash baray paidaar they

Samaj rahey ho judai sai baat khatam howi
Abhi kahan abhi dil ka bahalna baqi hai

Waqat-e-rukhsat un ka bhi romaal bheega howa tha
Rasta daitay howey hamary bhi aansoo nikal paray

Faslay aisey bhi hoon gay yeh khabhi soocha na tha
Samaney baitha tha mere aur wo mera na tha

Shikwa kaantoon sai kyon ker ho zakham khaney ka
Phool chunaney ki saza paye hai mein nay

Ujalay apni yadoon kay hamarey saath rehnay do
na janey kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye

Hum ko un se hai wafa ki umeed
Jo nahi jante wafa kia hai

Mayree gali main aik SHAHARYAR aata hay
Mila hay hukam kay lehjay ko muhtaram kar loun

Zindagi kya koi nisar kare
Kis se duniya mein koi pyar kare
Apna saaya bhi apna dushman hai
Kon ab kis ka eitbaar kare ?

TARAY SIWA KISI KA TASAWOR MA KHONA NAHI CHAHATA
TARA HO KA KISI OUR KA HONA NAHI CHAHATA

I WANT TO OPEN THE LOCK OF MY HEART
BUT THE KEY IS WITH YOU
NOW WHAT SHOULD I DO
SHOULD I COME BACK TO YOU???

mare daman mein shararon kay siwa kuch bhi nahi
app phoolon kay haridar nazar atey hain

Mery zindagi us koray kaghaz ki manind hay
koi likhta bhi nahi es par to jalata bhi nahi esay

Bay taklufi had say bhar jai to gham miltai hein
esi liya hum har shez say kum miltay hein

Naik nay Naik Bud nay Bud jana mujhay
jis may jitna zarf tha utna pehchana mujhay.

Ehsas dilaya hai too milta hee nahee
Ajnabi tha too roz mila karta tha
Ab mari har bat kay wo maani pochay
Jo mari soch ki tahrir likha karta tha.

Logoon nay apna hunar dekhaya bhee bohat hai
Ja ja kar main nay manaya bhee bohat hai
Sach pochoo too piyara bhee bohat lagta hai dil ko
Wo shks jis nay dil ko dukhaya bhee bohat hai

Bohot gham diey hain hamein is zindagi ne
Ke hamein ur jeney ki arzoo nahi hai
Chaha tha main ne jis ko dil tora usee ne
Ab kise ur ko chahane ki muje arzoo nahi hai

Haathoon ki lakeroon mein chaand chuppa kar kehtey hein kay Gul
Chaand bara baydard hai aaj nikla hi nahin

Maira taqub tou na kar aye dost
Mein nay duniya ganwae hai khud ko patey patey

Meri aankhoon kay sard samandar mein
Koi diya jalana chahata hai baar baar

Wo roth jatay too manana dushwar na tha
Wo taluq he na rakhen too batin kis ko hum

Kabhee jo sompay thay is nay hamin cahat main
Wo saray dukh ragoon main uotartay jatay hain
Is say kaho kisi ros hum say mil jay JANN
Hamaray hesay kay sabhee din guzartay jatay hain.

Phir na kijeyah ga mari gustakh nigahe ka gila
dakhyah aap nay phir piyar say dakha mujh ko

mera taa-qub tuu na kar ayy dost
main ny duniya khoi hai khud ko paty paty

duniya jissay kehtay hain jadu ka khilona hay
mil jaye to mitti hay.... kho jaye to sona hay

Yeh din yeh raat yeh lamhay achay say lagtay hain..
Tumhain sochoon to saaray silsilay achay say lagtay hain...
Bohat door tak chalna or phir bhi waheen rehna..
Humain tum say tum hi tak k Da-ayray achay say lagtay hain..

KASH AYSA BHI KABHI PAL HAMEIN MOYASSIR HO
TERAY DIL SAY TERI ROOH TAK UTAR JAYEN!!!!

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar..
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah..
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen.
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

usey khena k pulkoun pe na tankey khowab ki jhaler
samander k kinarey ghar bana ker kuch nahi milta
koi aik aadh sapna ho to phir acha bhi lagta hai
hazar khowab aankhoun main saja ker kuch nahi milta

JAB KABHI DIL KOO YE SAMJATAH HOON TOO MERA NAHIN
DIL MAY KOIE CHEKH UTHTA HAY NAHIN AISA NAHIN
KAB NIKALTA HAY KOIE IS DIL MAY BASS JANAY KE BAAD
IS GHALE KE DOOSRE JANIB KOIE RASTA NAHIN......

MAIN AKSAR BHATA BHATA KHO SA JATA HOON,
MAIN AKSAR MAIN NAHI RAHATA TUM HOO JATA HOON

aadam ki kisi roop main tehqeer na karna
pherta hy zamany main KHUDA bhees badal kar

thee is kadar ajeeb musafat keh kuch na pucho
aankhain abhi safar mein thein aur khawab thak gay

nazron se agar door hai to kia hua
dharkan ki tarha dil k meray paas bohat hai
wo raat ki tareeki main karta hai mujh se baat
us ko meri tanhaai ka ehsaas bohat hai

jis simt main bhi dekhon nazar ata hai k tum ho
aae jan-e-jahan ye koi tum sa hai k tu
ho ye khawab hai khushbo hai jhonka hai k pal hia
ye dhund hai badal hai saia hai k tum ho

Hum ko acha nahin lagta koi hum naam tera
Koi tuj sa ho tu phir naam bhi tuj sa rakhay
Dil bhi keh isi shakas se wabasta hai
Jo na kisi aur ka honay day na apna rakhay

Tapish suraj ki hoti hai Jalna zameen ko partha hai,
Kasoor aankhon ka hota hai Tarapna dil ko partha hai

TUKRE AINE KE KAR RAHA HOON MEIN
DOST NAYE TALASH KAR RAHA HOON MEIN
AB TANHA NAHIN KAI SANG HAIN MERE
KIRCHIOUN MEIN KHUD KO DEKH RAHA HOON MEIN.

soochtye hain tujhe woozoo ker ke
yoon tera ehtaram kertain hain

uthti nahi hai ankh kisi aur ki taraf
paband ker gai hai kesi ki negah mujhe

nazar kuch zuban kuch hont kuch keh jatye hein
ham unhein apna aur wo hamein ajnabi kah jatye hein
kabi to sonno mere seenay mein chuppi us awaz ko
ham jise aap, aur aap deerye se darkan kah jatye hein

AIK QATRA TO KIA HUM DARIYA BHI USS KE NAAM KERDETE
WOH KEHTA TO SAHI AIK BAAR PIYAASE LEHJAY MAIN

HUM INTEZAAR KARIENGAY TERA QAYAMAT TAK
KHUDA KARE KE QAYAMAT HO AUR TU AAAYE

TU SAAMNAY HAY MERAY TOU MAIRI ZINDAGI HASEEN HAY
TU NAZAR NAHIN JAB AATA TOU KOI KHUSHI NAHIN HAY

TAIRI CHAHTON NEY KIA HAY MUJH KO TAIRA DEWANA
MAIRI ZINDAGI KA HAASIL TAIRI CHAHTON KO PAANA

TAIRAY FURAAQ MAIN KATAY HAIN JOU MAIRAY DIN AUR RAATAIN
USSI BEYBASI MAIN KERTAY HAIN DEWAAARON SEY HUM BHEE BATAIN

TAIRI BANHON MAIN JOU GUZARTI HAIN
WOHI HAY MAIRI ZINDAGI KA HAASIL
TERAY PAYYAR SEY JOU MAIN NEY PAYA
WO SAKOON MAIRI ZINDAGI MAIN SHAAMIL

PHOOLON KAY CHAHNAY WALAY KAANTON KAY HO GAEY
HUM BEY KHABAR RAHAY WOH KISI AUR KAY HO GAEY

ZINDAGI KI HER KHUSHI MAIN NEY AB TAIRAY NAAM KI
INTAZAAR MAIN TAIRAYMAIN NEY SUBOH SEY SHAAM KI

Tham lay jo tu hath mera to sab sanwar jaye
Thukra day jo mujhay tu to sab bikhar jaye
Kehta hun tujhay ab kar lay tu bhe iqrar
Kahin ye pagal teray iqrar say pehlay na guzar jaye

Dil k zakhm zuban par Laya nahi Karte
Hum Apni Aankhoon se ansoo bahaya nahin karte
Zakhm dil kay kitnay hi gehre kion na hoon
Hum Apne Hontoon se muskurahat hataya nahi karte

Rasstoon pay matt baetho hawa tanng karray gi
Guzzray hoayy loogoon ki sadda tanng karray gi
Mattt tooot kar chahho ussay aghazay safar main
Bicchray ga tu IK IK adda tanng karray gi

AMAL SAY BHI MANGA WAFA SAY BHI MANGA
MAIN NAY TUJHAY TERY RAZA SAY BHI MANGA
AGAR KUCH NA HO SAKA TO DUA SAY BHI MANGA
KASAM HAI KHUDA KI KHUDA SAY BHI MANGA.

Naye dewanoon ko daikhoon tou khushi hoti hai
Hum bhi aisay thay jub aye they wiraney mein

Is liye bhi ghar sai raat ko nikal aata hoon
Sardiyoon kay chaand ko ehsaas-e-tanhai na ho

Kisi baewafa ki khatir yah junoon Faraz kub tuk
Jo tumhein bhula chuka hai ussay tum bhi bhool jao

Uff jawani kay wo awara sai kuch lamhe Qateel
Aap bhi ruswa ho gaye hum ko bhi ruswa kar gaye

Pasand aye na tere husn ki tareef yaroon ko
Ghazal mein nay kahi tuj per, howi takleef yaroon ko

Taqdeer mein likhi thein muhabbat ki talkhiyan
Yeh zahar shauk sai khabhi mei nay piya nahin

Pehlay pahal ka ishq abhi yaad hai Faraz
Dil khud yeh chahata tha keh ruswaiyan bhi hoon

Haath aye na duniya bhi aur ishq mein bhi nakaam rahey
Sooch kar shirminda hein kyon donoon mein nakaam rahey

Wo is kamal sai khaila tha ishq ki bazi
Mein apni fateh samajhta tha maat honay tuk

Go zara si baat pe barsoon kay yaraney gaye
Laikin itna tou howa, kuch loog pehchaney gaye

Aik ishq ka ghum aafat, aur us per yeh dil aafat
Ya ghum na dia hota ya dil na dia hota

Us nay kaha tha milein gayu khawab mein
Maray khushi kay neend na aye tou kia karoon

Kisi ko itna mut chaho kah phir bhula na suko
Yahan loog badaltey hein moosmoon ki tarha

Jo mein sir basajda howa khabhi tou zameed sai aney lagi sada
Tera dil tou sanam hai aashna tujay kia milay ga namaz mein

rahe wafa me tum hame kismat se mil gae
ham khush naseeb hain hame kismat pe naz he

apni to wo misal he jese koi darakht
dosron ko saya bakhsh k khud dhoop me jale

zia ki tammana thi par na mili
saba ki tammana thi par na mili
saari umar dhundtay hi rahay
wafa ki tammana thi par na mili

Teri bewafaiyon per, teri kuj adaiyon per
Khabhi sir jhuka ker roye, khabhi moon chupa kar roye

Bewafa hum hein tou jane wafa yunhi sahi
dhoond lena jo tumhay koi wafadar milay

Guzari is tarha umer-e-muhabbat hum nay dhookay mein
wo muj ko bawafa samjhey, mein un ko bawafa samjha

Itnay kareeb aao keh ji bhar kay daikhoon
Shayed keh phir milo tou yeh zooq-e-nazar na ho

Aaja kah tere pyar kay waday pe maut ko
Tala hai hum nay aaj barey ahtamam sai

Tumharay bus mein agar ho tou bhool jao humein
Tumhein bhulaney mein shayed humein zamaney lagein

Mein tou is wastey chup hoon keh tamasha na bunay
Tou samajta hai mujay tuj sai gila kuch bhi nahin

Janaza rook key mera wo iss andaaz sai booley
Gali hum nay kahi thi tum tou duniya choor chaley

Barey hi naaz sai khola tha khat mehboob ka
Baray hi roub sai likha tha nahin aaon ga

Mera moon kafan sai khola, mere paas aa kar booley
Yeh naya libaas kaisa yeh kahan ke iraday hein

Report to moderator   Logged
TUSHARPARMAR
Baby
*

Karma: 0
Offline Offline

Posts: 3


xyz
« Reply #1 on: February 05, 2007, 06:47:11 AM »

are yaar itna lamba kyu likhta hai
thoda kum karna!!!!!!!!!11
Report to moderator   Logged
Pages: [1]   Go Up
Print

Jump to: