ahkil
|
|
« on: October 15, 2007, 10:55:09 PM » |
|
Main bhool jaaun tumhein ab yahi munaasib hai
magar bhulana bhi chaahoon to kis tarah bhooloon
ki tum to phir bhi haqiqat ho koi khwaab nahin.
Yahan to dil ka ye aalam hai, kya kahoon
bhula saka na ye wo silsila jo tha hee nahin
wo ek khayaal jo awaaz tak gaya hee nahin
wo ek baat jo main keh nahin saka tumse
wo ek rabt jo hum mein kabhi raha hee nahin
mujhe hai yaad wo sab, jo kabhi hua hee nahin.
Agar ye haal hai dil ka to koi samjhaaye,
tumhein bhulana bhi chaahoon to kis tarah bhooloon
ki tum to phir bhi haqiqat ho koi khwaab nahin.
|