Welcome, Guest. Please login or register.

Login with username, password and session length




April 28, 2024, 09:12:39 AM
Funfani.com - Spreading Fun All Over!COOL STOPPoetry/Shero ShayariEk Din Mein....
Pages: [1]   Go Down
Print
Author Topic: Ek Din Mein....  (Read 819 times)
0 Members and 1 Guest are viewing this topic.
ahkil
Super Elite member
*****

Karma: 4
Offline Offline

Posts: 1504


« on: October 13, 2007, 02:06:55 AM »

Ek din, main Delhi pahuncha,

Station pe ek coolie se bahar jane ka rasta pooncha,

Coolie ne kaha "bahar jaake poocho."



Maine khud hi rasta doondh liya,

Bahar jaake taxiwale se pooncha,

"bhai saab Aagre ka kitna loge?"

jawab mila, "bechna nahi hai.."



Taxi chhod, maine bus pakad li,

conductor se pooncha, "ji, kya mein cigarette pi sakta hoon?"

wo gurrra kar bola, "hargiz nahi, yaha cigarette pina mana hai."

Maine kaha, "par wo janab to pi rahe hai!"

Phir se gurrrraya, " usne mujhse pooncha nahi hai."



Aagre pahucha, hotel gaya.

Manager se kaha, " mujhe room chahiye, satve manzil pe."

Manager ne kaha, "rahane ke liye ya koodne ke liye?"

Room pahucha, waiter se kaha, "ek paani ka gilas milega."!

Usne jawab diya, " nahi sahab, yaha to saare kanch ke milte hai."



Hotel se nikla dost ke ghar jaane ke liye,

Raste me ek sahab se pooncha, "janab,

ye sadak kaha ko jaati hai?"

Janab hans kar bole, " peechle bees saal se dekh

rahan hoon, yahi padi hai.... kahin nahin jaati"



Dost ke ghar pahucha, to mujhe dekhte hi chownk pada

Usne poocha, "kaise aana hua?"

Ab tak to mujhe bhi aadat pad gayi thi,

Maine bhi jawab diya, "Train se.."



Meri aaobhagat karne ke liye dost ne apni biwi se kaha,

"areeee sunti ho... mera dost pehli baar ghar aaya hai, uuse kuch taja
taja khilao.."

sunte hi bhabhiji ne ghar ki sari khidkiya aur darwaje khol diye.

Kaha, "taji hawa kha lijiye."



Dost ne phir se badi pyar se biwi se kaha,

"areeee sunti ho.. inhe jara apna chalis saal purana aachar to
dikhana."

Bhabiji ek batli me rakha aachar le aayi,

Maine bhi apnapan dikhate hue bhabiji se kaha,

"Bhabhiji, aachar sirf dikhayengi, chakhayengi nahi....?"

Bhabiji ne taak jawab diya,

"yuhi agar sab ko chakhati to aachar chalis saal purana kaise hota..?"



Thodi der baad dekha, bhabiji apne grandson ko soola rahi thi,

Saath me lori bhi ga rahi thi, "diploma so ja, diploma so ja."

Lori soon mein hairan hua aur dost se poocha,

"yaar ye diploma kya hai?"

Dost ne jawab diya, "mere grandson ka naam,

Beti bambai gayi thi, diploma lene ke liye aur saath mein ise le aayi,

isiliye hamne iska naam diploma rakh diya."

Phir maine pooncha, "aajkal tumhari beti kya kar rahi hai?"

Dost ne jawab diya, "bambai gayi hai, degree lene ke liye....."

Report to moderator   Logged
Pages: [1]   Go Up
Print

Jump to: