Title: Sarab Post by: ahkil on October 26, 2007, 02:06:28 AM woh haqiqat na kabhi ban sakey ga
jo tera khuab hai woh sarab hai tera khuab wo pervana hai jo shama se na roshni chura sakay tera khuab ab ik mauj hai sahil na jisay samo sakey tera khuab ik aaftab hai jo na chaand se galey milay tera khuab aawara baadal hai jo na dhoop day na chaaon day tera khuab hawa ka jhonka hai jo aankhon ko chu ker thandak dey mager khuabon mein na terey rang bharey na thehray tere bagh-e-dil mein na hi phool koi khila sakay tera khuab ik "saraab" hai jo sada laa haasil azaab hai |