|
Title: Laakh miltay hain hum bahanay say.. .. .. Post by: ahkil on October 26, 2007, 02:00:20 AM Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say Ummar guzari hay dar-badar apni Hum hillay thay zara thikanay say Aik jadu sa kar gaye mujh par Kuch makaan thay puranay say Baat karta raha main us say magar Baat banti nahi bana'nay say Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho Tum nikalo humain fasanay say Meri chahat main bhi woh baat na thi Woh bhi rukhsat hua bahanay say Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay Teer palta agar nishanay say...!!! |