|
Title: APNA AHSAS Post by: ahkil on October 26, 2007, 01:04:01 AM APNA AHSAS
apna ahsaas mar na jaye kahin dard had se guzar na jaye kahin un ko dekhey hue huin sadiyaan un ka chehra bikhar na jaye kahin ab ke awwaz doon to aa jana dil dewana sudhar na jaye kahin un ka wada to hai magar dil ko dar hai ke kafir mukar na jaye kahin dard,jugnoo, hawa,gilley shikway yeh mukadar sawar na jaye kahin meri duniya hai dard ki surat gull ki surat nikhar na jaye kabhi khak se aab tak to aa pohuchey ab yeh darya utar na jaye kahin yeh muhabbat bhi ek balla tehri hum ko dar hai woh dar na jaye kahin is liye muskuraye phirta hoon un ki aakh bhi na bhar jaye kahin dil se guzra to hai magar apni jaan se guzar na jaye kahin |