Funfani.com - Spreading Fun All Over!

COOL STOP => Poetry/Shero Shayari => Topic started by: ahkil on October 22, 2007, 06:19:29 AM



Title: KABHI JO TUMHAIN MERI YAAD AAYE
Post by: ahkil on October 22, 2007, 06:19:29 AM
KABHI JO TUMHAIN MERI YAAD AAYE

[fade]kabhi jo tumhain mere yaad aaye
to kuch ashaar mere yaad main likh daina
par kabhi na kisi se kuch kehna
agar kabhi koi tum say maira poochay
too haans kar usko taal daina
agar ho sake to mere khat jala daina
mere un phoolon ko jheeloon main baha daina
kabhi jo tumhain mere yaad aaye
to takiya main chup kar aansoo baha laina
phir mujhay yaad karkay muskura daina

mere tasveeron ko
dil ke nakshoon se mita daina
aur unhain phar kar kaheen jala daina
per kabhi na kisi se mera zikaar karna
kabhi jo tumhain mere yaad aaye
to aik khuwaab samagh kar bhula daina