|
Title: Ek Ehsaas Post by: ahkil on October 22, 2007, 12:10:36 AM Ek ehsaas sa jagta hai
halka sa nasha cha jaata hai meetha meetha sa gam leke jeene ka maza aa jata hai saamne hon jab wo deedar bas hota hai kuch suna jaata hai na kuch kaha jaata hai yaadein aati hain madhosh kar jaati hain aansuon ke saath phir hosh aa jaata hai aarzoo hai mere dil ki chahoon main tumko har pal kuch der mein hi zamana dushman sa nazar aata hai yaad hai ye uski jo dil pe chayee hui hai koi toofan nahin jo aake guzar jaata hai |