Funfani.com - Spreading Fun All Over!

COOL STOP => Poetry/Shero Shayari => Topic started by: ahkil on October 21, 2007, 10:51:33 PM



Title: Deewana
Post by: ahkil on October 21, 2007, 10:51:33 PM
Deewana



Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai.

Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin
Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai.

Guzar chuki thi bahut raat baton baton mein,
Phir uth ke woh tera shama bhujana yaad aat hai.

Ghatain kitni dekhi hain par mujhay "Israr",
Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai.

Humay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad hai.