Title: meri batain sochna Post by: ahkil on October 16, 2007, 12:06:10 AM Meri batain sochna
meri batain sochna guzaray lamhon ko khojana talkhion ko rondana meri yadon kay dipak jalay rakhna kerna phoolon se batain tum rehna sochon mein meri gum tiktaki bandhay meri tasveer ko dekhna rakhna sanbhal kay purani yadain tum ghar kay angan mein phool lagay rakhna kabhi jo yad satay meri tum ko kerna rukh meri taraf tum to keh dena woh sab kuch jo keh na saki mujh ko keh na saki tum khud ko iss piyar safar ko aagay barhay rakhna tumhain main nain pukara jab chali aana mery paas tab bikharnay na dun ga tumhain ab ke hay milna hi hamara muqadar ab meri rahon main nazrain lagain rakhna mujhy hay har pal teri khabar kar raha hun dil pe jabar hay abhi adhura ishq safar aawaz to doon tum ko sochta hun magar ruswaion se tum ko hay bachay rakhna |