|
Title: Jaanay k baad Post by: ahkil on October 15, 2007, 10:34:03 PM mutt pooch k kiya haalut hoi hai tairay jaanay k baad
jaisay koi ujrra chaman ho bahaar janay k baad tu tha tau har koi hans kar mila karta tha ab koi pursaan-e-haal nahi tairay jaanay k baad tu tha tau zindagi say mohabbat thi hamain ab tau bus din guzar rahay hein tairay jaanay k baad tairay hi dum say theen hamari roonaqain ab tau kuch bhala nahi lagta tairay jaanay k bad tairay hi dum say theen yeh bahaarain yeh mehfilain ab yahan kisi ka guzar nahi tairay jaanay k baad jo qismat main ho woh ho kar hi rehta hai SUFI ab yehi dil ko samjhatay rehtay hein tairay janay k baad |