|
Title: Neta [Hasya Kavita] Post by: Vatsal on December 24, 2005, 04:27:55 AM Mere mann mein ek Neta ki
Tasveer ubhar kar aayi hai Izaazt ho to pesh karoon In sab ka mein raaz kholoon Sar par Nehru topi daale Dhoti kurta suti waale Kandhe par jholi latkaye Aankhon pe chashma lagaye Kaath ki chaapal pehna Gawn Gawn ghoomte hai Yeh koi aur nahi babu Humare aajkal ke neta hai Har Darwaza khat-khatate Haath jod yeh vinti karte Apna Vote hummi ko dena bhaiya Hoga tabhi har dukh duur bhaiya Lambe chhode bhashan dekar N.jaane kya kya vade kar-kar Gareebon ko jaal mein phsaye Ameeron se hain Note kamaye Roti, Kapda, aur Makaan Nahi Marega ab koi Insaan Wah Kya Naara hai Yehi Humara Neta hai Issi aas mein Issi vishwaas se Chuna tha inhe hum sabne Kya maloon tha badal jayega Neta humara Abhineta Niklega Girgit se jyada hai rang inke Aur Kaam ke to kya kehne Desh se Gareebe hatta denge Gareebon ko yeh Mita denge Hindu Muslim Bhai Bhai Phir hone wali hai Ladayi Bhrashtachar mit jaayega Bhrasht hi to imandaar kehlayega Nahi ab koi bhuka Rahega Koi zinda bachega tab Rahega Berozgari hum hata denge Hum sabko Kaam Denge Ek haath mein bandook dusri mein Talvaar Denge Desh ki pragati ki hum yojna banayenge Khud ke khaate Videsh mein khulvayenge Humara desh Vikaas karega Aap chhodoge to zaroor karega Muh Mein Ram, Bagal Mein Churi dharam hai inka Rishvat Khori Karam hai inka sab ki chori Bharti rahe sirf inki Pijori Jaane kaisa yeh yug hai Kisan Kaurvon ke sangh hai Dharti maa ka vastr haran Karta aaj Yudhishtir hai Magar Aisa kab tak chalega Kab tak Woh Inka Saath Dega Dekhna Ek Din Jagruk Insaan Hoga Tab inka Sarvanaash hoga Tab inka Sarvanaash hoga |