Title: Qaidi No.786 Post by: Vatsal on December 21, 2005, 09:52:58 PM Main Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Din, Mahiney, Saalon Ko Zat Main Badalte Dekhta Hoon Is Mitti Se Mere Baboji K Khaito Ki Khusbu Ati Hai Yeh Dhoop Mere Mathay Ki Thandi Chhaa Yaad DilaTi Hai Yeh Baarish Mere Saavan Ki Jholoon K Sang Laati Hai Yeh Sardi Mere Lodi Ki Dil Ki Aag Sulagti Jaati Hai Woh Kehtay Hain Yeh Tera Des Nahi Phir Kyo Mere Des Jaisa Lagta Hai Woh Kehta Hai Mai Us Jaisa Nahi Phir Kyo Mujh Jaisa Woh Lagta Hai Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon Sapno Ke Gaaon Se Utri Ek Nanni Pari Ko Dekhta Hoon Kehti Hai Khud Ko Saamiya Aur Mujhko ~Navi~ Bulaati Hai Hai Bilkul Begani Par Apno Si Woh Lagti Hai Uski Sachi Baaton Se Phir Jeenay Ko Mann Karta Hai Uski Kasmo Waadon Se Kuch Karne Ka Mann Karta Hai Woh Kehtay Hain Ke Woh Koi Nahi Hai Phir Kyo Woh Mere Liye Dunaya Se Larti Hai Woh Kehtey Hain Main Us Jaisa Nahi Par Kyo Mujh Jaisa Woh Lagta Hai Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon Apne Gaoon K Rangon Main Lipti Ek Nayi Zaara Ko Dekhta Hoon Mere Khwabon Ko Poora Karti Khud K Khwaab Bhool Chuki Hai Woh Mere Logon Ki Saiwa Karte karte Apne Logo Ko Chor Chuki Hai Woh Uska Daaman Ab Khushiyon Se Bharne Ko Dil Karta Hai Uske Liye Ek Aur Zindagi Jeenay Ko Jee Karta Hai Woh Kehtay Hain Mera Des Uska Nahi Phir Kyo Mere Ghar Woh Rehti Hai Woh Kehtay Hain Main Us Jaisa Nahi Phir Kyo Mujh Jaisi Woh Lagti Hai Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon... (Taken from Veer Zaara) |