Funfani.com - Spreading Fun All Over!

ENTERTAINMENT JUNCTION => Jokes / Funny Messages => Topic started by: Vatsal on July 30, 2006, 07:01:08 AM



Title: "Jab bhi dekhta hoon tumhe, kuch uljhi uljhi nazar aati
Post by: Vatsal on July 30, 2006, 07:01:08 AM
Kuch ankahe shabd, unkahi batein
bani ek unkahi kahani
dil ki baat bayan ki
Ankhon ki zubani
Teri ankhen padna chahta hoon
ki inme koi unkahi baat tho nahi
Tera dil janana chahta hoon
ki isme koi raaz tho nahi

Ye ankhen tumhare mann ka darpan hain
phir ye jhuki hui ankhen kya kehna chahti hain
kaho na kya hai dil mein tumhare
wo batein lab par aana chahti hain

Jab bhi dekhta hoon tumhe
kuch uljhi uljhi nazar aati ho
ladti ho mujhse, ruth ke chali jati ho
kaho na kya kehna hai tumhe
Shayad wahi kehna ho mujhe

Kis baat ka intezaar hai tumhe
Ye waqt haath se nikal na jaye
Ye khamoshi jaan na le le hamari
Ye waqt laut ke phir na aaye
Kaho na keh do na jo kehna hai tumhe
Sunana chahta hoon mein wo raaaz
jo tumhari aankhon mein chupa betha hai.