raaj420
Baby
Karma: 0
Offline
Posts: 11
|
 |
« on: February 05, 2011, 02:26:21 PM » |
|
>> Ab anzaam-e-mohabbat kya hoga << ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
mujhpar aur ilzaam-e-mohabbat kya hoga Suroor bhara jaam-e-mohabbat kya hoga
. har ghazal me maiN likhata huN tujhko aur mera paigaam-e-mohabbat kya hoga
. har waQt tere sajde me huN main pada is se bada salaam-e-mohabbat kya hoga
. Ikarar toh kar liya humne mohabbat ka jane ab Anzaam-e-mohabbat kya hoga
. chal nikale sang tere hum nayi subah ko kaun jane Shaam-e-mohabbat kya hoga
. yuh ghur-ghur dekh rahe yeh duniya wale jane ab apna Naam-e-mohabbat kya hoga
. tay karliya hai katooN ka safar, par jane ab agla ikhtehaam-e-mohabbat kya hoga
. lamba hai yeh safar, tedi-medi hai dagar kaun jane mukaam-e-mohabbat kya hoga,,,
|