Vatsal
|
|
« on: July 30, 2006, 07:01:08 AM » |
|
Kuch ankahe shabd, unkahi batein bani ek unkahi kahani dil ki baat bayan ki Ankhon ki zubani Teri ankhen padna chahta hoon ki inme koi unkahi baat tho nahi Tera dil janana chahta hoon ki isme koi raaz tho nahi
Ye ankhen tumhare mann ka darpan hain phir ye jhuki hui ankhen kya kehna chahti hain kaho na kya hai dil mein tumhare wo batein lab par aana chahti hain
Jab bhi dekhta hoon tumhe kuch uljhi uljhi nazar aati ho ladti ho mujhse, ruth ke chali jati ho kaho na kya kehna hai tumhe Shayad wahi kehna ho mujhe
Kis baat ka intezaar hai tumhe Ye waqt haath se nikal na jaye Ye khamoshi jaan na le le hamari Ye waqt laut ke phir na aaye Kaho na keh do na jo kehna hai tumhe Sunana chahta hoon mein wo raaaz jo tumhari aankhon mein chupa betha hai.
|